Monday, December 22, 2014

SURYA NAMASKAR FOR ALL

SurNamaskar sabhi logo ko daily karna chahiye, isase aapki body aur mind dono relex feel karte hai aur aap pure din prashsn rahte hai.Sur Namaskar me hamre sharir ke sabhi ango ki excersice ho jati hai aur aap ka sharir furtila banta hai aalashya nahi rahta. Yadi koi person apane dainik jiwan me ye karta hai tu us person ko koi rog nahi lag sakta aur hamesha energetic rahega.

SURNAMSKAR KARANE KI VIDHI

Surya Namaskar : Is aasan me kul 6 chakra (round) hote hai avam baki 6 round reverse hote hai aur kul 12 chakkro me complete hota ha.

1. Pranamasan 2. Hasth utan 3. Paadhasthaasan 4. Ashv sanchalan 5. Parvat aasan 6. Ashtaang Namaskar. ab inhi aasano ko reverse me karna hai. 7. Sharpaasan 8. Parvat aasan 9. Ashv sanchalan 10. Paadhasthaasan 11. Hasth uttan aasan 12. Pranamaasan.

Surya Namaskar karne se whole body ki exercise hoti hai. Aap sabhi se vinarm anuroodh hai ki sabhi log per day morning 5.30 se 6.30 ke beech 6 round aasan jaroor kare, jisase aapki body flexible and mind relax feel karega.

Savdhani

Dhyan rahe aasan karne ke pahale aap man Se sabhi bure vicharo ka tyag kare avam ye soche ki aapke undar subichar aa rahe hai aur aap us parmpita parmesher ko samarpit hai. Jis sthan me aap yog kare wo place clean hona chahiye. Tatpaschat aap aasan suru kare to aati uttam hoga, Asan aram porvak kare jyada takat na lagay ashani se kare.Aasan karne me yadi koi dikkat ho to aap mere yog kendra me aakar nishulk training le sakete hai.



                                                                                                              Anoop Bajpai
Yog avam Dhyan Kendra, 
Badshapur, Gurgaon. 8882916065. or anoopmlib@gmail.com

1 comment:

Anoop Kumar Bajpai said...

Dear all learn yoga with anoop i always with you.

Yoga Se hi Hoga , Karo yog Rahoge nirog